Chicken Curry Recipe in Hindi – Chicken Curry Banane ki Vidhi | Chicken Gravy

Chicken Curry Recipe Ingredients:

  • Chicken – 1 kilo
  • Pyaaz – 5
  • Tamatar – 4
  • Adrak – 1 chota tukda
  • Lehsun – 8 se 10 kaliyan
  • Jeera – ½ chammach
  • Laung – 4
  • Tej patta – 1
  • Choti Elaichi – 2
  • Chicken Masala – 2 chammach yaa swadanusar
  • Hari Mirch  – 1
  • Dhaniya Powder – ½ chammach
  • Namak – Swadanusar
  • Hara Dhaniya – 2 bade chammach
  • Tel/ Desi Ghee – 3 bade chammach

how to make chicken curry in hindi, chicken curry recipe

How to make chicken curry – Chicken curry banane ki vidhi:

  1. Raw Chicken (kacche chicken) ko paani mein ache se dho lein aur paani nikaal dein.
  2. Pyaaz ko kaat kar mixer mein pees lein aur alag rakh dein.
  3. Tamatar, adrak, hari mirch aur lahsun ko ek saath pees kar rakh lein.
  4. Cooker mein tel garam karke jeera, laung aur tejpatta daalein.
  5. Jeera bhunne par pyaaz ka paste daalkar bhune.
  6. Pyaaz ka paste jab golden brown ho jaaye aur tel chorne lage tab pise hue tamatar, adrak, lehsun aur hari mirch ka paste kadhai mein daalein.
  7. Tamatar ka paste jab tel chhorne lage tab kadhai mein chicken masala, dhaniya powderaur 1 bada chammach paani daalein aur masala bhune aur aanch dheemi kar dein.
  8. Ab Cooker mein chicken daalein aur maanch tez karke ek se do minute pakayein aur phir 2 cup paani daalein aur cpooker ka dhakkan band kar dein.
  9. Ek seeti aane par aanch dheemi karke 10 se 12 minute pakayein aur gas band kardein.
  10. Cooker ka pressure khatam hone par dhakkan khole aur upar se hara dhaniya daalkar tyaar chicken curry, tandoori/tawa roti yaa chawal ke serve karein.

Incoming Search Terms:

  • chicken curry banane ki vidhi hindi mein
  • chicken gravy pressure cooker recipe in Hindi
  • chicken gravy recipe without curd recipe
  • how to make chicken curry in Hindi
  • chicken curry banane ka aasan tarika

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

code