नरम रोटी बनाने के टिप्स – Naram Roti Banane ka Tareeka

Bhartiye gharon mein khane mein zyadatar log gehun ke aate ki roti khana pasand karte hain. Gehun ke aate ki roti banana bahut hi saral hai lekin thoda sa abhyas chahiye.

Lagbhag sabhi se shuruwat mein roti ya to gol nahi banti ya fir sookhi sookhi jali hui banti hai lekin abhyas karte rehne se aap dheere dheere bahut hi badiya gol aur naram roti banane lag jayenge. Apni roti ko naram banane ke liye aaj hum laayein hain kuch gharelu tips jo ki aapke kaam aayenge.

naram roti, soft roti image

  • Naram roti banane ke liye aata goondne ke liye paani ke saath thoda se doodh ka istemaal karein isse roti naram banegi.
  • Roti ke liye atta na zyada sakht na hi zyada naram goonde. Agar aata sakht goonda hoga to roti sookhi banegi aur agar aata zyada naram hua to roti banane ke liye sookha aata bahut lagega jisse ki roti sookhi sookhi banegi.
  • Roti ke upar ghee lagane se roti naram rahegi.
  • Roti ko kam aanch par sekne se bhi roti sakth banti hai.
  • Pakte hi roti ko casserole mein rakhien ya turant serve karein. Roti par hawa lagne se roti sakht ho jaati hai.

Naram roti kese banayein – नरम और मुलायम रोटी बनाने के कुछ टिप्स हिंदी में:

  • नरम रोटी बनाने के लिए आटा गूंदने के लिए पानी के साथ थोड़े से दूध का इस्तेमाल करें इससे रोटी नरम बनेगी।
  • रोटी के लिए आटा ना ज़्यादा सख़्त ना ही ज़्यादा नरम गूंदे. अगर आटा सख़्त गूंदा होगा तो रोटी सूखी बनेगी और अगर आटा ज़्यादा नरम हुआ तो रोटी बनाने के लिए सूखा आटा बहुत लगेगा जिससे की रोटी सूखी सूखी बनेगी।
  • रोटी के उपर घी लगाने से रोटी नरम रहेगी।
  • रोटी को कम आँच पर सेकने से भी रोटी सख्त बनती है।
  • पकते ही रोटी को कैसरोल में रखिए या तुरंत सर्व करें. रोटी पर हवा लगने से रोटी सख़्त हो जाती है।

Save

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

code