Malai Kulfi Recipe Ingredients:
- Doodh – 1 litre
- Cheeni – 100 gm
- Choti Elaichi – 6 se 8
- Kesar – ¼ tsp
Malai Kulfi Banane ki Vidhi (preparation method):
- Kesar ko ek chammach paani mein ghol kar ek taraf rakh dein.
- Ab ek kadhai mein doodh garam karne ke liye rakhein. Doodh ka ubala aane par aanch dheemi kar dein.
- Ab cheeni daal kar dhoodh ko lagatar mix karte rahein taki doodh kadai par naa lage aur jale nahi.
- Doodh ko tab tak garam karein jab tak doodh ek chauthai reh jaye.
- Ab gas ko band kar dein aur choti elaichi ko pees kar gaadhe doodh mein daalein aur saath hi ghula hua kesar doodh mein daal kar mix kar dein.
- Taiyaar rabri ko room temperature par thanda hone ke liye rakh dein.
- Thanda hone par kisi chote cup, kulfi mould, glass ya kullad mein daal dein aur freezer mein kulfi ko jamane ke liye rakh dein.
- Kulfi zamne par taiyaar kulfi ko serve karein.
How to make Malai Kulfi in Hindi – Ghar par Malai Kulfi Kaise banaye:
Malai Kulfi Recipe - मलाई कुल्फी | How to make Malai Kulfi in Hindi
Ingredients
- दूध – 1 लीटर
- चीनी- 100 ग्राम
- छोटी इलाइची – 6 से 8
- केसर – ¼ चम्मच
Instructions
- मलाई कुलफी बनाने के लिए , एक कढ़ाई में दूध गरम करने के लिए रखें।
- दूध का उबाला आने पर आंच धीमी कर दें।
- अब चीनी डाल कर दूध को लगातार मिक्स करते रहें ताकि दूध कड़ाई पर ना लगे।
- दूध को तब तक गरम करें जब तक दूध ¼ ना रह जाए।
- अब गैस बंद कर दें।
- छोटी इलाइची को पीस कर डालें और केसर को एक चम्मच पानी में घोल कर दूध में डाल कर मिक्स कर दें।
- रूम टेम्प्रेचर पर ठंडा होने के लिए रख दें।
- ठंडा होने पर किसी छोटे कप, कुल्फी मोल्ड, ग्लास या कुल्लड़ में डाल दें।
- अब फ्रीज़र में कुल्फी को जमाने के लिए रख दें।
- कुलफी ज़मने पर त्यार कुल्फी को सर्व करें।