Aloo Gobhi ki Sabji – Aloo Gobi Recipe in Hindi

Aloo Gobhi Recipe Ingredients:

  • Aloo (Potato) – 4, Medium
  • Phool Gobhi – ½ kilo
  • Pyaaz – 2
  • Tamatar -2
  • Adrak Lehsun ka Paste – 1 chammach
  • Haldi powder – ½ chammach
  • Dhaniya Powder – 1 chammach
  • Hing – 1 chutki
  • Hari Mirch – 1
  • Garam Masala – ½ chammach
  • Tel /Ghee – 2 Bade Chammach
  • Namak -1 chota chammach yaa Swadanusar

How to make Aloo Gobhi- Aloo Gobhi ki Sabji Banane ka Tarika

aloo gobhi recipe in hindi, aloo gobi ki sabjiAloo Gobhi Recipe Banane ki Vidhi:

  • Aloo gobhi banane ke liye, aloo ko cheel kar tukde kaat lein aur gobhi ko bhi kaat lein.
  • Pyaaz aur tamatar ko bhi alag alag baarik kaat lein.
  • Kadahai mein tel yaa ghee garam hone rakhein, tel garam hone par baarik kate pyaaz daalein
  • Pyaaz light brown hone par aanch dheeme karke hing, tamatar, adrak lehsun ka paste, aur baarik kati hari mirch daalein.
  • Ab kadahi mein dhaniya powder, haldi powder aur do chote chammch paani daalkar 1 se do minute tak masala bhune.
  • Ab isme kate aloo aur kati phool gobhi daalkar ache se mix karein aur dhak kar dheemi aanch par pakayein.
  • Sabji ko beech beech mein hilate rahe aur aloo gobhi galne par gas band kardein.
  • Sabji ke upar se Hara dhaniya aur garam masala daalein
  • Tyaar Aloo Gobhi serve karein

Incoming Search Terms:

  • aloo gobhi ki sabzi recipe in hindi
  • aloo gobhi ki sabji banane ki vidhi hindi mein
  • aloo gobi ki sabji kaise banta hai bataiye
  • gobi aloo ki sabji banane ki vidhi bataye

 

Read More:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

code