Karela Fry Recipe Ingredients:
- Karele – 4 se 5
- Haldi powder – ½ chammach
- Dhaniya powder – 1 bada chammach
- Jeera Powder – ½ chammach
- Hing – 1 chutki
- Saunf powder – 1 chota chammach
- Lal Mirch powder – ½ chammach
- Amchur – ½ chammach
- Namak – swadanusaar
- Hara Dhaniya – garnishing ke liye
- Sarson ka tel – 3 se 4 bade chammach
How to make Karela Fry:
Karela Fry Sabji Banane ki Vidhi:
- Karela Fry banane ke liye, karelon ko halka halka chheel lein aur ache se dho lein.
- Karele ke patle patle gol slices kaat lein.
- Ek kadahi mein tel garam karein. Tel garam hone par kadahi mein gol kate karele daalein aur aanch madhyam kar dein.
- Madhyam anch par karele ko 8 se 10 minute tak bhoone. Beech beech mein chalate rahein.
- Ab kadahi mein saare masale aur swadanusaar namak daal kar milayein.
- Aanch dheemi kar dein aur kadahi ko dhak dein.
- Fried karele ki sabzi ko 4 se 5 minute pakne dein aur phir gas band kar dein.
- Tyaar kerela fry par dhaniya chhidak kar anand lein.
Incoming Search Terms:
- karela fry kaise banate hain
- crispy karela fry recipe in hindi
- fry karela banane ki recipe
- how to make stir karela fry in Hindi
- karela fry banane ka tarika