khandvi Recipe in Hindi - खांडवी रेसीपी | How to make Khandvi
Author: Raj Rani
Recipe type: Appetizer
Cuisine: Indian
Ingredients
- बेसन (gramflour) - 1 कप
- दही (yogurt) - ½ कप
- पानी (water) - 2 कप
- अदरक का पेस्ट (ginger paste) - ½ चम्मच
- हल्दी पाउडर (turmeric powder) - ¼ चम्मच
- सरसों (mustard seeds) - 1 चम्मच
- नारियल (coconut) - ¼ कप, कद्दूकस किया हुआ
- कढ़ी पत्ता (curry leaves) - 10 से 12
- नमक (salt) - स्वादानुसार
- तेल (oil) - 1 बड़ा चम्मच
Instructions
- एक बर्तन में बेसन, अदरक का पेस्ट, हल्दी पाउडर और स्वादानुसार नमक डालकर मिक्स करें।
- एक बर्तन में दही अच्छे से फेंट लें और पानी डालकर घोल त्यार करें।
- त्यार पतली फेंटी हुई दही को बेसन वाले बर्तन में डालकर घोल त्यार करें। ( पानी डालते समय हिलाते रहे ताकि गाँठ ना बने)
- एक पैन में त्यार दही और बेसन का घोल डालें और पकाएं। (हिलाते रहे)
- लगभग 8 से 9 मिनट पकने के बाद घोल बेसन से अलग होने लगेगा, तब गैस बंद कर दें।
- एक समतल ट्रे में तैयार घोल की पतली सी परत बना लें और इससे सूखने के लिए रख दें।
- खंडवी के लिए छोंक बनाने के लिए, एक छोटे पैन में तेल गरम कर लें।
- गरम तेल में सरसों के बीज और कढ़ी पत्ता पका लें।
- बेसन की परत सूखने पर चाकू से काट लें और रोल बना लें।
- रोल किये हुए खंडवी के ऊपर छोंक डालें।
- स्वादिष्ठ गुजराती खांडवी का आनंद लें।
Khandvi Recipe in Hindi – Khandavi kaise banaye:
How to make Khandvi (खांडवी Banane ki Vidhi) Step by Step Guide Hindi mein:
Ghar par jhatpat Dhokla banane ki vidhi jaanne ke liye yahan click karein
- Ek bartan mein besan, adrak ka paste, haldi powder aur swadanusaar namak daalkar mix karein.
- Ek bartan mein dahi aache se phent lein aur paani daalkar ghol tyaar karein
- Tyaar patli phenti hui dahi ko besan wale bartan mein daalkar ghol tyaar karein ( paani daalte samay hilate rahe taaki gaath naa bane)
- Ek pan mein tyaar dahi aur besan ka ghol daalein aur pakayein (hilate rahe)
- Lagbhag 8 se 9 minute pakane ke baad ghol besan se alag hone lagega, tab gas band kar dein.
- Ek samtal tray mein taiyaar ghol ki patli si parat bana lein aur isse sookhne ke liye rakh dein.
- Khandvi ke liye chhonk banane ke liye ek chhote pan mein tel garam kar lein.
- Garam tel mein sarson ke beej aur kadi patta paka lein.
- Besan ki parat sookhne par chaku se kaat lein aur roll bana lein.
- Roll kiye hue khandvi ke upar chhonkh daalein.
- Swadisth Gujrati Khandvi ka anand lein.